jawab mange ga waqt tumse,
Puchega ga lakho sawal
Pahechane ga tumhe
Tumhare kaale kartuto se
Rakhega yaad har insaan ka haal
Jagega har wo rota hua baccha
Sunayega har un maa baap ki chikh
Charo aur se sawal aayenge
Jawab mangte huye
Kiu na diye tum unhe jaan ki bhik
Jo duba hai, use pahechanta hai wo
Jo dubaya hai use bhi
Hai khara nanga waqt
Haat liye lahu un sabka
Aage barte huye milega wo tujhe hi
Aankh main aankh daale
Utarega kapra aankh se
Pochega har ek ke
Ruh pe laga hua daag
Un jale huye makano ke raakh se
jawab mange ga waqt tumse,
Puchega ga lakho sawal
Pahechane ga tumhe
Tumhare kaale kartuto se
Rakhega yaad har insaan ka haal
- Sudipa Adak